Jab zulm ke baadal chhane lage Gulshan mein Gul Gumlane lage Insaan jab Apni bacchi ko Hai jeete jee dafnaane lage Har simt Jafa wo Zulm ka Jab Hai garm hua bazar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye Ye Jabr ke shole ab Abre Ikhlas se Sab buj jayenge Sab kaliyan lori gayenge Gulshan ke gul muskayenge Har simt ujale bikhrenge Sab zulmo sitam mit jayenge Jab Aamena Bi ki godi mein Sarkar Madina aayenge Sab jum jum ke masti mein Ye bolega Sansaar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye Adam ki lagshish ko Rabb ne Jis ke Sadqe mein bakhsh diya Machhli ke pet se Yunus ko Jis ke Sadqe Aazad kiya Isa ne jiski Ummat mein Aane ka logon azan kiya Aur Ibrahim ne khwahish ki To Rabb ne Unhe ye Muzda diya Wo dekho Abdullah ke Ghar Sab Nabiyon ke Sardaar Muhammad aa gaye Muhammad aa gaye But khane saare kamp uthe Kaabe ke Sanam tharrane lage Ab kufr ki zulmat khatm hui Duniya se andhere jaane lage Tauhid ki kirne foot padee Har simt ujale chhane lage Jab Aamena bi ke...